This is my first ever attempt at poetry, and that too in Hindi. Although I'm not sure if it even qualifies for a poetry!
The first four stanzas refer to the Mind, Eyes, Lips and Heart, respectively; and the last one is the Conclusion!
Chhoti-moti,
har kism ki baatein meri yaad rehti hain usey,
Kehti
hai ki meri yaadein sataati hain usey!
Phir
kyun uski kahi har baat ko main bhool jaata hoon,
Kyun
meri yaadon mein use dhoondh nahin pata hoon?
Aankhon
se apne woh duniya ka har rang mujhe dikhaati hai,
Uski
putliyaan jaise ke kuchh mujhse kehna chaahti hain!
Phir
kyun nahin padh paata main un baaton ke matlab ko,
Kyun
nahin dekh paata un aankhon mein chhupe dard ko?
Uske
hothon par har pal ek pyaari si hansi hoti hai,
Uski baaton
se hameshaa mujhe khushi milti hai!
Phir
kyun nahin alfaaz nikalte uski tareef ke liye,
Kyun
chup reh jaata hoon main bina koshish kiye?
Mera
naam sunne se woh ek dhadkan chuk jaati hai,
Kehti
hai, ‘Yeh toh har roz ka haal hai!’
Phir
kyun hoti hai mushkil use apne dil mein basane se,
Kyun
ghabrata hai dil mera use pyaar karne se?
Darr
lagta hai mujhe ki kahin main use kho na doon,
Uska
pyaar bhara dil galati se tod na doon!
Aata
nahin mujhe apne jazbaaton ko bayaan karna,
Shaayad
isi liye uske hotey hue bhi main akela hoon!